tumhein yaad ho k na yaad ho (FuNNy)

wo jo doodh shehd ki kheer thi
wo jo narm misl-e-hareer thi
wo jo aamaly ka achaar tha
wo jo hum mein tum mein qaraar tha
tumhein yaad ho k na yaad ho

jo haran k seekh kabaab thay
wo jo aap apna jawab thay
wo jo quettay ka anaar tha
wo jo hum mein tum mein qaraar tha
tumhein yaad ho k na yaad ho

wo jo seb zeenat-e-baagh thay
wo jo shaakh shaakh charaagh thay
wo jo aalu’on ko bukhaar tha
wo jo hum mein tum mein qaraar tha
tumhein yaad ho k na yaad ho

wo raqeeb k jo bagher thi
wo jo chaand raat ki ser thi
wo jo ehd-e-fasl-e-bahaar tha
wo jo hum mein tum mein qaraar tha
mujay sab hai yaad zara zara
tumhein yaad ho k na yaad ho

Re: tumhein yaad ho k na yaad ho (FuNNy)

kabab :yummy:

Re: tumhein yaad ho k na yaad ho (FuNNy)

what about SEB , ANAR and AALU-BUKHARA :smiley:

Re: tumhein yaad ho k na yaad ho (FuNNy)

:yummy:

Re: tumhein yaad ho k na yaad ho (FuNNy)

fruits :nono: