~Tumhein woh pyar ka guzra zamana yaad ayega~

Kabhi hansna, kabhi aansoo bahaana yaad ayega
Tumhein woh pyar ka guzra zamaana yaad ayega

Tumhein phir yaad ayengi hamari sharamngeen nigahein
Mera woh rooth kar phir muskuraana yaad ayega

Chupega baadaloon ki ooot mein jab chaand ka chehra
Duppate se mera woh munh chuppana yaad ayega

Barhegi shaam jab aye shafaq ki surkheyaan lekar
Tu mera woh haath per mehndi rachaana yaad ayega

Bohut kuch yaad ayega tumhein meri judai mein
Kanakhti chureyoo ka gungunaana yaad ayega

Jhuka paoge jab tum kisi nazuk si daali ko
Hayya ke bhoj se sar ko jhukanna yaad ayega

Karakti bijleyaan maazi ke afsaane sunaengi
Woh dar ke baazo’oon mein kapkapaana yaad ayega

Dam-e-rukhsat ki woh ghareyaan musalsal yaad ayengi
Lippat kar tum se woh aansoo bahaana yaad ayega…

hmm bahut khoob! hamesha ki tarhan great choice, thanks 4 sharing !