Tumhein woh pyar ka guzra zamaana yaad aayega...

**
Kabhi hansna, kabhi aansoo bahaana yaad aayega
Tumhein woh pyar ka guzra zamaana yaad aayega
Tumhein phir yaad aayenge hamari sharamgeen nigahain
Mera woh phir rooth kar muskuraana yaad aayega
Chuppeyga badaloon ki aout mein jab chaand ka chehra
Dupattay se mera woh munh chuppaana yaad aayega
Barheygi shaam jab aaye shafaq ki surkheyaan lekar
Tu mera woh haath pe mehndi rachaana yaad aayega
Bahut kuch yaad aayega tumhein meri judaee mein
Kanhakhatti chooreyoon ka gungunaana yaad aayega
Jhuka paaoge jab tum kisi nazuk si daali ko
Hayya ke bojh se sar ko jhukaana yaad aayega
Karakktti bijleyaan maazi ke afsaanay sunaayengi
Woh darr ke bazo’oun mein kapkapaana yaad aayega
Dam-e-rukhsat ki woh gharreyaan musalsal yaad aayenge…
Lippat kar tum se woh aansoo bahaana yaad aayega…
**

Buhat Khoob:k:..
:flower1:

bohat khoob.. :)

Re: Tumhein woh pyar ka guzra zamaana yaad aayega...

[QUOTE]
Originally posted by Amarbail: *
*

Jhuka paaoge jab tum kisi nazuk si daali ko
Hayya ke bojh se sar ko jhukaana yaad aayega
**
[/QUOTE]

Great :biggthumb

:k:

pagloon ki yaad-dasht itni achi tu nahi hoti ap kahti hain tu maan laiti..:slight_smile:

zabardast choice jinaab:k:

*Dam-e-rukhsat ki woh gharreyaan musalsal yaad aayenge…
Lippat kar tum se woh aansoo bahaana yaad aayega…
*

zabardast haye Amarbail jee. :flower1:

:slight_smile:

bhut khoob

yad-e-mazee azab hay ya rub....

any why its so beautifull....

bohut khoob :k:

Excellent :k:

Very nice :k:

:hehe:
Ab zarori tu nahee aap sari batain manain… :slight_smile:

NICE

Din Bhar Tou MaiN Dunya Ke DhandooN MaiN Khoya Raha
Jab DeewarooN Se Dhoop Dhali Tum yad Aye...