~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

**Mein zindagi kay uddas sehra ki wusa’toon mein ulhaj gaya hoon,

Mein lamha lamha bikhar raha hun,

Meray lahu mein samaitay janay ki ek khuwahish si ugg rahi hay,

Her ek tamana sulaG rahi hay…

Tumehein shareek-e-safar bana looN

Magar___

Mein is duniya ko janta huN

K meri sochein hakeekatoo’N k lahu samander naha chuki heiN

Mein sochta hun k teray sub khuwab reshmi hein…

Tu meri khaddar rafaqatooN ka
bheram kahein bhee na rakh sakay ga!!!
**

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

hummmm

Thanda panni pee ke aya karain

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

:confused:wu kyun azad?

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

pata nahi

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

wakayee, mujhay bhee yehi lagga tha… alfaz ka istimaal kaffi gher zaroori nahi hay aapkay pind mein…:bukbuk:

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

kia keh sakte hain kabhi bat nahi ki kisi se

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

Jub zubanooN pay talay perein
zindagani ka kia faidaa…

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

hummm buss jee hi nahi karta, kisi se kahain bhi to kia kahay koi.

zindagi ka fayda? ... kabhi socha nahi

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

**zindagi ka safar kaatna hay agar
aag per raks kernay ka fun seekhlo
jism chahay jalay, rooh pholay phalay
jeena chahoo tu mernay ka fun seekh loo…
**

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

:)

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

Zabardast.................maza aa gaya

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

shukriya saroo

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

buhat achchi collection hay fara ji

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

Very Nice… Tnx Fara :flower1:

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

:flower1: Shukriya Precious Khan and GS… :flower1:

Re: ~Tumhein Shareek-e-Safar Banaa LooN~

u r always wellcome ji