Thought to share this lovely poetry of Shabemah … hope you’ll like it … !
Woh ek phool tum ne
Jo mujh ko diya thaa
Muhabbat ki khushbo mein bheega huwa thaa
Aur ulfat ke rangoon mein dooba huwa thaa
Mere paas aa kar
Mere kaan mein phir
Mujhe yaad hai tum ne jo kuch kaha thaa
Mujhe yaad hai
Tum ne mujh se kaha thaa
Ke us phool ke rang nikhray na hotay
Parinday kaheen bhi chehaktay na hotay
Fizao’oun mein khusboo mehakti na hoti
Saba sahiloon per lehakti na hoti
Sitaray falak per chamaktay na hotay
Ke mein jo na hoti
Tu tum bhi na hotay
Qasam kha ke us phool ki tum ne mujh se
Muhabbat nibhanay ka waada kiya thaa
Wohi phool jis ki qasam khaa rahay thay
Woh phool ek arsay se sookha huwa hai
Kitaab-e-muhabbat mein rakha huwa hai
Mein sookhi huwi patteyoon ko muslasal
Takkay ja rahi hoon
Woh sookhi huwi patteyaan bhi tu mujh se
Kahay ja rahi hain
Tumhein mujh se itni muhabat nahee thee
Ke jitni muhabbat ka daawa kiya thaa…