tumhein itna batana hai
keh chaahaey kuch bhi ho jaey
bohat dushwaar rustaa ho
bohat gehra undhaira ho
hum apna dil jalaaein gay
tumhein khonay nahee dein gay
tumhein itna bataana hai
tumhaaree aankh me hilkorte
sab ashk chun lein gay
hum apni zaat mein jaanaN
tere sab gham ssambhaalein gay
tujhe khushiyo se bhar dein gay
dhanak rango me dhaalein gay
tumhein ronay nahee dein gay
tumhein itna bataaana hai
keh jab tak saans baaqee hai
tumhaara naam dharkan hai
nigaahoN me diya ban ker
tumhaaree yaad roshan hai
jahaaN ke is jhamelay me
tumhein khonay nahee dein gay
tumhein itna bataaana hai
kabhi tanhaai aur gehree udaasi gar sataaey
aur ghabra ker jo tum humko pukaaro gay
yaqeeN rakhna k sab kuch chhore tere paas aein gay
bharee dunya me hum tanha
tumhein honay nahee dein gay
tumhein itna bataana hai