tumhein jab kabhi millein fursatin miray dil say bojh utar do
mein bohat dinon say udas hon mujhay koi sham udhar do
mujhay appnay roop ki dhoop do kay chamak sakin miray khal-o-khad
mujhay appnay rang mein rang do miray saray zang utar do
miri wehshaton ko barha dia hay judaion kay azab nay
miray dill pay hath rakho zara miri darkanon ko qarar do
***tumhein subh keasi lagi kaho, meri khawahishon kay diyar ki ***
jo bhali lagi tu yahin raho issay chahton say nikhar do
wahan ghar mein kon hay muntazar kay ho fikar deir saweir ki
bari mukhtasar si yeh raat hay issay chandni mein guzar do
***koi baat karni hay chand say kissi shakh-sar ki oot mein ***
mujhay raston mein yahin kahin kissi kanj-e-gul mein utar do
By Aitbar Sajid