*one of my favorite by nusrat fateh ali khan sahab, Allah jannat naseeb karay ![]()
i have edited one shayr which i thought was shirkia but this is the complete ghazal otherwise ![]()
enjoy
:k:
*
~ ![]()
**
tumhein dillagi bhool jani paray gi
muhabbat kee raahon mein aa kar toh dekho
**
tarapne pe meray na phir tum hanso ge
kabhi dil kisi se laga kar toh dekho
honton ke paas ayay hansi kya majal hay
dil ka muaamla hae koi dillagi naheen
zakham pe zakham kha ke ji
apnay lahu ke ghoont pee
aah na kar labon ko see
ishq hay dillagi naheen
dil laga ker pata chalay ga tumhein
aashiqui dillagi naheen hoti
kuch khel naheen hay ishq kee laag
paani na samajh ye aag hay aag
khoon rulayay gee ye lagi dil kee
khel samjho na dillagi dil kee
ye ishq naheen aasan bas itna samajh leejay
ik aag ka darya hay aur doob ke jana hay
wafaon kee ham se tawaqqoh naheen hae
magar aik baar aazmaa ker toh dekho
zamanay ko apna bana ker toh dekha
hamein bhee tum apna bana ker toh dekho
ham na samjhay teri nazron ka taqaza kya hay
kabhee pardah kabhee jalwa ye tamasha kya hay
jaan e jaan jaan e jaan
hum se yeh uljhan naheen dekhi jati
khuda ke lyay chor doh ab ye pardah
ke hayn aaj hum tum naheen ghayr koi
shab e wasl bhee hay hijab is qadar kyun
zara rukh se aanchal utha ker toh dekho
jafaein bohot keen bohot zulm dhayay
kabhee eik nigah e karam is taraf bhee
hamesha huay dekh ker mujh ko barham
kisi din zara muskura ker toh dekho
jo ulfat mein har ik sitam hay gawara
ye sub kuch hay paas e wafa tum se werna
satatay ho din raat jis tarha mujh ko
kisi ghayr ko yun sata ker toh dekho
agarcheh kisi baat par woh khafa hayn
toh acha yahi hae tum apni si kar lo
woh maanein na maanein ye marzi hay un ki
magar un ko purnam bana ker toh dekho
**
tumhein dillagi bhool jani paray gi
muhabbat kee raahon mein aa kar toh dekho
**
~ ![]()