Tumheen Jub Milaen Kabhi Fursataen

chaaNdnii raat mein chaaNd ke saamne

***chaaNdnii raat mein chaaNd ke saamne
ruKh se pardaa haTaanaa Gazab ho gayaa
chaaNdanii chhup ga_ii chaaNd sharmaa gayaa
aap kaa muskuraanaa Gazab ho gayaa

dil kii dharkan merii tez hone lagii
raat aaNkhon mein kaaNTen chubhone lagii
vasl kii raat mein baat hii baat mein
yuuN teraa ruuTh jaanaa Gazab ho gayaa

jhuum kar kaalii kaalii ghaTaa jab uThii
raat apanii to karavaT badlate kaTii
kuchh to mausam ne bechain rakkhaa hame.n
kuchh teraa yaad aanaa Gazab ho gayaa

apane hisse mein tuufaaN kii taqadiir thii
zindagii apanii maujon kii zanjiir thii
Duub jaane kaa apne hamen Gam na thaa
us kaa saahil pe aanaa Gazab ho gayaa***