Tumhay zidd hai k main keh doon
Mujhay zidd hai k tum keh dou
Mujhay tum say mohabbat hai
Kaho mujh say mohabbat hai
Nahin yeh jantay dono
Mohabbat kab bhala mohtaaj hai lafzo ki
Mohabbat tou hamari dharkano ki saaz main shamil
Surelay geet ki manind
Mohabbat yaad ki devi
Jo tanha raat ko aksar utar aati hai aankho main
Mohabbat muskurahat hai haseen nazuk say honto main
Mohabbat sandali haathon ki nazuk larzish main hai
Mohabbat soch ki gehraiyon say phootti khushboo
Hamesha saath rehti hai
Mohabbat aankh main palta woh pur israr jazba hai
jisey ab tak nahin koi samajh paya
Na es ki koi surat hai
Na es ka koi paymana
Dhekay alfaaz main es ka bohat izhar hota hai
Kuch aisay he k jaisay aab
Tah-he-dil say tou hum dono bohat iqrar kartey hain
Magar phir bhi na janay kiyon
Tumhe zidd hai k main keh doon
Mujhey zidd hai k tum keh dou
Mujhay tum say mohabbat hai…!
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
**Mohabbat aankh main palta woh pur israr jazba hai
jisey ab tak nahin koi samajh paya
![]()
Muhabbat to wo na pakne wala gosht hai jo papeeta lagane se bhi narm nahin hota
**
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
Aap ny papeeta laga k pakany ki koshish ki the kia…?
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
Aap ny papeeta laga k pakany ki koshish ki the kia..........?
nahin maine to Pressure cooker main daali thi.. bhak se uR gai
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
nahin maine to Pressure cooker main daali thi.. bhak se uR gai
next time papeeta laga k pakana........
phr bata`na kia howa.......?
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
next time papeeta laga k pakana........ phr bata`na kia howa.......?
ab paki pakaon loon ga :p
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
.............ahaan
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
Kis ne likhkhi hai yeh poem ?!?!
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
kiyun FIR katwani hain? ![]()
Aik karo poet jee.
Na app Kaho na wo kahe simple,
Uski shadi Mai kam kaj karne zaroor Jana ![]()
I think Mai janti hoo ![]()
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
ye zidd he ley dobaygi aik din ![]()
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
^ exactly.
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
waah je waah…kya baat hai…aaj mere posts se agree ker rahi ho ? ![]()
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
Tumahri bat sach Jo lagi ![]()
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
daal mai kuch kala hai ![]()
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
^ nahi, app ne bilkul sahi kaha, app Ki bat muej samjh aa gae ![]()
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
oye hoye…laal peeli kyon ho rahi ho ? ![]()
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
**
Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai**
Re: Tumhay zidd hai k main keh doon
fake hopes ![]()