Tumhay Zid hai k iqrar-e-wafa tum nay nahi karna…
Meri taqdeer may rang-e-hina tum nay nahi bharnaa…
Tumhay manzoor hai shayad, mera ghut ghut k he marna…
tumharay faisalay par ab sir tasleem-e-kham ho ga…
may apnay hont seee lon ga,
younhi bay-kaif jee lon ga,
tumharay hijar ki tasveer ko dil may saja lon ga,
tumharay jabar, apnay sabar ko maay azmaa lon ga,
Magar…ik baat may pochon?
Tumhay apni qasam, tum sir pay rakh kar hath yeh kehna
tumahray dil may meray naam say hal chal nahi hoti?
meray khaat parh k jazboon may koi tofaa’n nahi uthtaa?
Jawaa’n ratoon may meri yaad ki shamai’en nahi jalti?
Tumhari dharkanoo may kiya meri sochain nahi palti?
Tu phir tum nay aziyaat ki ridaa kion taan rakhi hai?
yeh dil may thaan rakhi hai…
bohat bechaain khud rehna, mujhay barbaad sa rakhna…
Bhulana bhi tu is k sath kuch kuch yaad sa rakhna…
har ik andaaz ko apnay, sitaam ejaad sa rakhna…
agar is shoq say tum ko koi taskeen milti hai…
meray zakhm-e-talab ka tazkara abb kam say kam ho ga…
tumharay faisalay par ab sir tasleem-e-kham ho ga…
agar is shoq say tum ko koi taskeen milti hai...
meray zakhm-e-talab ka tazkara abb kam say kam ho ga...
tumharay faisalay par ab sir tasleem-e-kham ho ga...
agar is shoq say tum ko koi taskeen milti hai...
meray zakhm-e-talab ka tazkara abb kam say kam ho ga...
tumharay faisalay par ab sir tasleem-e-kham ho ga...
yani shikast tasleem kar li
afsoos aap mohabat ko abhi bhi fatah or shikasat ka khail samjhtay hain.... :(