*~* tumhay mujh say muhbat hai *~*

*
muhbat ki tabiet main ye kasa bachpana qudrat nay rakha hai
kay jitni pura’ni jitni bhi mazboot hojaye
isay tayedtaza ki zarorat phir bhi rahti hai
yaqeen ki akhri hud tak dilo main lehlehati ho!
nigahoon say tapakti ho laho main jagmagati ho!
hazaroo-n tarha kay dilkush halay banati ho!
isay izhaar kay lafzoon ki hajat phir bhi rahti hai
muhbat mangti hai yo gawahi apny hony ki
kay jasay tafl-e-sada sham ko ek bejh boye
aur sham ko barha uthay aur zameen khood kar dekhay kay poda ab kaha tak hai!
muhbat ki tabiet main ajab takrar ki kho hai
kay ye iqrar kay lafzoo-n ko sunny say nahi thakti
bicharny ki ghari ho ya koi milny ki sa’at ho
bus isay ek hi dhun hai
kaho mujh say muhbat hai
kaho mujh say muhbat hai
tumhay mujh say muhbat hai

samandar say kahi gahri sitaroon say siwa roshan
paharoo-n ki tarha qaiem hawa ki tarha daiem
zameen say asman tak jis qadar acchay manazir hain
muhbat kay kanaye hain wafa kay ista’ary hain
hamray hain
hamry wastay ye chandani sanwarti hai
sunehra din nikalta hai
muhbat jis tarf jaye zamana sath chalta hai

samandar say kahi gahri sitaroon say siwa roshan
paharoo-n ki tarha qaiem hawa ki tarha daiem
zameen say asman tak jis qadar acchay manazir hain
muhbat kay kanaye hain wafa kay ista’ary hain

v nice :k:

:k:

Nice!

[QUOTE]
kaho mujh say muhbat hai
tumhay mujh say muhbat hai
kaho mujh say muhbat hai
[/QUOTE]

This tantamounts to intimidation and harrassment :-|

very nice :k:

One of my most fav’s my Amjad Islam Amjad :k:

thanks for sharing :flower1: :slight_smile:

:k:

Nice :k:

:rolleyes: