tumhay kitna chahtay hain
us nay kaha kay mujh say tumhay kitna pyar hai
mai nay kaha: sitaroo ka koi shumar hai?
us nay kaha kay kon tumhay hai bohat azeez?
mai nay kaha kay dil par jisay ikhtiyaar hai
us nay kaha : khizaa’n main mulaqat ka jawaz?
mai nay kaha kay qarb ka matlab bahar hai
us nay kaha kay sainkroo gham zindagi main hain
mai nay kaha kay gham nahi, jub ghamgusar hai
us nay kaha kay sath kaha tak nibhaoo gay?
mai nay kaha kay jitni sansoo-n ki tar hai
Re: tumhay kitna chahtay hain
7 views no reply … how sad 
Re: tumhay kitna chahtay hain
wow good stuff dear

Re: tumhay kitna chahtay hain
us nay kaha : khizaa'n main mulaqat ka jawaz?
mai nay kaha kay qarb ka matlab bahar hai
v nice shab dun b sad log aj kal aram aram se atey hain fiker nat kal taak ho he jain gain 10 reply :p
Aryaan
5
Re: tumhay kitna chahtay hain
one of my favr8 Shab-e-Hijar bohat khoob…:k:
Re: tumhay kitna chahtay hain
Wah… Its Zabardast… Very Nice .. Tnx Shab-e-Hijar
:k:
AQ
7
Re: tumhay kitna chahtay hain
us nay kaha kay sainkroo gham zindagi main hain
mai nay kaha kay gham nahi, jub ghamgusar hai
wow ---
Re: tumhay kitna chahtay hain
thanks guys :)
Re: tumhay kitna chahtay hain
nahi huw
amjad bhai and amal haven’t read my ghazal yet 
sokoon
10
Re: tumhay kitna chahtay hain
shab e hijar! Khoub kaha hai
us nay kaha : khizaa'n main mulaqat ka jawaz?
mai nay kaha kay qarb ka matlab bahar hai
us nay kaha kay sainkroo gham zindagi main hain
mai nay kaha kay gham nahi, jub ghamgusar hai
Re: tumhay kitna chahtay hain
thanks 
Lamhay
12
Re: tumhay kitna chahtay hain
U Forgot last Misraa ..
**
Ussnay kaha kay Mujh ko Yaqeen Aye kis tarhan
Main nay kaha kay Naam mera Aitbaar hai ....**
Bahut khoob Hijar thanks 4 sharing!