sulag raha ho main dheray dheray, magar kisi par ayan nahi hai
woh aag dil main lagi hai jis main, tapish hai lakin dhua’N nahi hai
tumhary gham nay sekha diya mujhay har ek gham say pyar karna
gham-e-jahan bhi, yaqeen jano mazj-e-dil par giran nahi hai
khuda ki basti main har qadam par, koi hai giriyan kisi kay gham par
ye dard to dard-e-mushtariq hai, ye ankh purnum kaha nahi hai
mata-e-umer azeez sari, ganwa chukay par safar hai jari
ajeeb soda hai ashqi ka kay fikr-e-sod-o-zayan nahi hai