tumhare yadon nay jab bhi chaha hai
dil dareechon me chandni jagmaga gayi hai
kabhi hasa kar rula gayi hai
kabhi rula kar hasa gayi hai
tumhare yadain
tumharay jaise
hataili,ziddi shareer yadain
wo phol lamhay
kabhi lagain jo gulab jaisay
kabhi khizaan k shabaab jaisay
hon arzoo k saraab jaisay
mere hatheelay k uljhay uljhay khutoot he main
kahin pe dundhlay say raston me jo gum huay thay
tumhare yadon nay jab bhi chaha hai
dil dareechon me chandni jagmaga gayi hai
kabhi hasa kar rula gayi hai
kabhi rula kar hasa gayi hai