tumhari yad ati hai to hum ansu bahatay hain
guzaray thay kabhi jo sath din wo yad atay hain
isi umeed pe hum ne khula rakha hai darwaza
suna hai shaam hotay he bichrre laot atay hain
haqarat se na dekho aye ehl-e-sahil tufan ko
kabhi aisa bhi hota hai kinaray doob jatay hain
kisi se kya gilla aye MEER ye hai dastoor zamanay ka
naye jab log miltay hain purane bhool jate hain…