Tumhari yaadon ko seene se laga rakha hai

**Tumhari yaadon ko seene se laga rakha hai
Andhere dil mein ek chiraag jala rakha hai

**
**Jeene ki umeed jagi hai tumse mil kar
Hamne sehra ko shabnam se saja rakha hai

Tumhare intezaar mein khuli hai kab se aankhein
Hamne raahon par palkon ko bicha rakha hai

Har lamha unki yaad mein tadpata hai dil
Dard e-dil ka hamne naam dawa rakha hai

Unko bhi nahin maloom kitna chahte hai ham unhe
Pyar mein unke hamne khud ko bhula rakha hai

Zindagi hai jab tak sirf unhe hi chahenge
Dil mein hamne yeh raaz chuupa rakha hai**

Re: Tumhari yaadon ko seene se laga rakha hai

wah Wah !!! :lajawab:

Re: Tumhari yaadon ko seene se laga rakha hai

Kiski yaad hai Uncle :faizy:

Awesome :k:

Re: Tumhari yaadon ko seene se laga rakha hai

alaa.

Re: Tumhari yaadon ko seene se laga rakha hai

fikar na karo tumhari nhi nat khat panday :@: