~ Tumhari Yaadain ~

Kabhi kabhi tanhaee mein Khud ke leye Kuch sa'attain mil jaati hain Aksar kisi puraani kitaab mein Kisi sookhe phooli ki surat Yaadain mil jaati hain

Kabhi kisi purkhaar rastay mein
Kaantoon ki chubbhan mein
Manzil ka yaqeen ban kar
Yaadain mil jaati hain

Kabhi kisi ajnabi ki surat mein
Kisi apne ki shabeeh ban kar
Yaadain mil jaati hain

Kabhi chalte qalam mein
Lafzoon ki surat
Jazbay ban kar
Yaadain mil jaati hain

Judaee ke mausam mein
Darwaaze ke pat thaamay
Intezaar ban kar
Yaadain mil jaati hain

Tanha khare kisi rastay mein
Hawaoon ke dosh per
Kisi ki sada ban kar
Yaadain mil jaati hain

Kabhi kisi talkh baat mein
Laraztay hontoon ki
Meethi sargoshi ban kar
Yaadain mil jaati hain

Kabhi kisi ke juda hojaane per
Aansoo ban kar
Aankhoon se behte huwe
Yaadain mil jaati hain

Poori zindagi ko khoojo tau
Kisi ki yaad ban kar
Kayee yaadoon mein
Yaadain mil jaati hain

Kabhi haal ki lambi raatoon mein
Barsaatoon mein
Maazi ki baarish ban kar
Yaadain mil jaati hain

Haan… Aksar …

Kabhi kabhi tanhaee mein
Khud ke leye
Kuch saa’attain mil jaati hain
Aksar kisi puraani kitaab mein
Kisi sookhe phool ki surat
Yaadain mil jaati hain…

Bahut khoob AB! thanks 4 sharing

Yaadain mil jaati hain… :frowning: Yaadien mil hi jati hain aksar … :teary2:

Ujalay apni yadoon kay hamarey saath rehnay do
na janey kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye

:k:

:k: :flower1: :smokin2: amarbail its ur beauty :wink:

bauhat zabardast...

nice :k::k:

Beautiful :k:

Thanks all ...