~*~ Tumhari Yaad ~*~

Yaad hai tumhein
College ki woh seerheyaan
Jahaan baith kar hum
Mustaqbil ke dhagay mein
Rang barangay moti
Piroya kartay thay
Aur tum
Farz-e-jazbaat se
Mera sir
Apne shanay se laga laitay thay

Aur woh raatoon ka safar
Jab mein tik’tiki baandhay
Chand ko dekha karti thee
Aur tum
Mera sar apne shanay se laga laitay thay

Aaj woh mustaqbil ki
Rang birangi maala
Maazi ka hissa ban gaye
Moteyoon ka rang
Pheekay par gaye
Lekin
Chaand ab bhi
Waise hi chamakta hai
Mein ussay
Tik’tiki baandhay
Waise hi dekhti hoon
Aur anjanay mein
Mera sir aik jaanib ko dhalak jaata hai …

Re: ~~ Tumhari Yaad ~~

Awww Sad..

''yaad-e-maazi azaab hai Ya-Rab''

Allah Paak aap ko hamesha khush rakhay aameen..

Re: ~~ Tumhari Yaad ~~

Good nazm Arif … :k:

Re: ~~ Tumhari Yaad ~~

bohat alaa...waqi mazi kabhi kabhi bohat kuch yad kara deta hai.

Re: ~~ Tumhari Yaad ~~

nyc one .. :k:

Re: ~~ Tumhari Yaad ~~

Good One Arif..:k: