**Tumhari yaad ki kirno ko aksar aankh main rakh kar,
Main apni neend khota hon to ye meri muhabbat hai,
Hawa, Ehsas, Khushbu, Chandni ko dekh kar aksr,
Tery dhoky main rehta hon to ye meri muhabbat hai,
Falak pe chand taaron k haseen jhurmat k manzr mein,
Tery chehry ko takta hon to ye meri muhabbat hai,
Mai apni zindagi k sary jazbon ko Meri jaana,
Tumhary naam karta hon to ye meri muhabbat hai.**