***Ajub mosam hai mere har qadam par phool rakhta hai
Mohabbat mein mohabbat ka farishta sath chalta hai
Har aanso mein koi tasweer aksar jhilmilati hai
Tumhain aankhein batayen gi diyoun mein kon jalta hai
Main jab so jaon in aankhon pe apne hont rakh dena
Yakeen aa jaye ga palkon talay bhi dil dharakta hai
Bohat se kaam ruk jate hain main bahir nahi jata
Tumhari yaad ka lahja kahan talay se talta hai
Mohabbat gham ki barish hai, zameen sar’sabz hoti hai
Bohat se phool khiltay hain jahan badal barasta hai