ham par tumhaarii chaah kaa ilzaam hii to hai
dushnaam to nahii.n hai ye ikaraam hii to hai
karate hai.n jis pe taa’n, koii jurm to nahii.n
shauq-e-fuzuul-o-ulfat-e-nakaam hii to hai
dil muddaii ke harf-e-malaamat se shaad hai
ae jaan-e-jaa.N ye harf teraa naam hii to hai
dil naa-ummiid to nahii.n, na-kaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam, magar shaam hii to hai
dast-e-falak me.n, gardish-e-taqadiir to nahii.n
dast-e-falak me.n, gardish-e-ayyaam hii to hai
aaKhir to ek roz karegii nazar wafaa
wo yaar-e-Khush_Khasaal sar-e-baam hii to hai
bhiigii hai raat Gazal ibtidaa karo
waqt-e-sarod dard kaa ha.ngaam hii to hai