Tumhari bheegti palkoon say mainay baarha poocha

Tumhari bheegti palkoon say mainay baarha poocha
kay dil kay khail main kia jeetnay walay bhi rootay hain?
wo jin ki chashm-e-khud bhi auroon ko daikha nahi karti
bhala kis ghum say dil kay taar main moti parootay hain?
Tumhari bheegti palkoon say mainay baarha poocha
kia manind-e-sheesha pat’thar main baal ata hai?
asar angaiz hai ab tak muhabbat ka wohi jazba,
jo aisay hooshmandoon ko bhi youn pagal banata hai?
Tumhari bheegti palkoon say mainay baarha poocha
mizaj-e-husn main youn yak-ba-yak kia inqalaab aaya?
sitara daikhna aur daikh kay afsurda ho jana,
bari takheer say tum ko sitaroon ka hisab aaya.
Tumhari bheegti palkoon say mainay baarha poocha
kia tark-e-rabt par mujh say wehshi yaad aatay hain?
taluq torna asaan tha to kiun aankh yeh num hai,
anaa parwar, jafa peesha bhi youn aanso bahatay hain?
Tumhari bheegti palkoon say mainay baarha poocha
kay jalnay aur jalanay main bhala kiun lutf aata hai?
bas ik jhooti ana kay wastay barbaad ho jana,
khudi kay zaum main insan kitnay dukh uthata hai.
(Khalil-ullah Farooqi)

Re: Tumhari bheegti palkoon say mainay baarha poocha

Nice.

Re: Tumhari bheegti palkoon say mainay baarha poocha

Bhot KhooB Deap Ocean :)

Re: Tumhari bheegti palkoon say mainay baarha poocha

thanks :)