Tumhari bheegti palkon se......

Tumhari bheegti palkon se main nay barha poocha
Ke dil ke khel main jeetnay walay bhi rotay hain
Woh jin ki chashm-e-bain auron ko dekha hi nahin kerti
Bhala kis dil se gham ke taar main moti pirotay hain

Tumhari bheegti palkon se main nay barha poocha
Ke jalnay aur jalanay main bhala kia lutf ata hai
Bus ik jhooti ana ke waastay barbaad ho jana
Khudi ke za’am main insaan kitnay dukh uthata hai