Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun

**Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun
MAin apney KHaab bhikharney ki baat kis sey karun

Abhi woh jaan-e-Ghazal duor hai nighahoon sey
Abhi main Jaan sey Guzarney ki baat kis sey karun

ABhi toh hijr ki tareekiyan hain dono taraf
Abhi main Chaand Nikalney ki baat kis sey karun ?

Abhi toh ghamon sey Nidhaal hain sabhi
Abi main tery Bicharne ki baat kis sey karun ?

Meri Judaii k ghaam mein koi bhi nehi sunta
Tumharey Baad sulaghne ki baat kis sey karun ?

Kisey baataun k tujhy kahaan kahaan nehi dhunda
Nagar nagar mein bhatakne ki baat kis sey karun ?

TEri talab mein yeh be chain ab bhi rehta hai
Main apney dil k machalney ki baat kis sey karun…**

Re: Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun

apni diary se :@:

Re: Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun

:hmmm:

Re: Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun

haan na....insan se nahi kehna chahiye :D

Re: Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun

Q?
HamRaaz Badalnay Ka Dar..........?

Re: Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun

dhokey ka dar

Re: Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun

:k: