Tumharey naam k aansu

Tumharey naam ke aansoo!
Mere hamdam..mere saathi
Agercha tey hoa tha kub?
Ke tum se hum juda ho ker
Umar ke dayroon mein rang bharna bhool jayeinge
Tumharey hijar ke maarey
Khushi ke raastey pe paoon dharna…bhool jaayeinge
Yeh aankhein hijar ke taptey hoye sehra mein gumm ho ker
Kisi payasey ki maniid..wasal ki bondon ko tarseyen gii
Shahabi rangton mein zardiyaan ghull jayeingi
Ke phir yeh phool meri jaan mehakna bhool jayega
Khazaan mosam ager aaya…palttana bhool jayega
Na pehley se raho ge tum..na yeh chahat,na sarsharii
Mager! dil mein koi jazba..koi mohoom sa jazba
Masalsal yeh bataye ga..muhabbat thi..muhabbat hai!


Agercha tey hoa tha kub?
Tumharey baad youn ho ga
Ke hum jeena na chaheinge..mager jeeney ki khatir umar ka israar bi
ho ga


Tumhein dil se bhulana iis qader dushwar bi ho ga!
Kaho hamdam..kaho kuch tu…ager yeh tey nahi tha sub
Tu phir kaisa hai yeh jaduu?
Ke dil mein naqsh hai aab tak
Tumharey pyaar ki khusboo
Nazer mein dafan hain aab tak
Tumharey naam ke aansoo..!


Re: Tumharey naam k aansu

Very nice :k:

Re: Tumharey naam k aansu

Shukriya

Re: Tumharey naam k aansu

buhut khoob :)

Re: Tumharey naam k aansu

oye hoye
nice one

Re: Tumharey naam k aansu

Boht khoob :flower1:

Re: Tumharey naam k aansu

Thanks Daanie, Angeleyez & HH

Re: Tumharey naam k aansu

goooodd

Re: Tumharey naam k aansu

Khub:k:

Re: Tumharey naam k aansu

Tumhein dil se bhulana iis qader dushwar bi ho ga!
Kaho hamdam..kaho kuch tu...ager yeh tey nahi tha sub
Tu phir kaisa hai yeh jaduu?
Ke dil mein naqsh hai aab tak
Tumharey pyaar ki khusboo
Nazer mein dafan hain aab tak
Tumharey naam ke aansoo..!

**
Soooopeer .... buhat khubsurat image kay sath ... u alwaz come with some nice stuff ...thx for shairng ...... keep it up **

Re: Tumharey naam k aansu

Thank you Sunny & GN

Re: Tumharey naam k aansu

Buhat shukriya Sannan jee...mera intikhab pasand karney ka aur hosla afzaai karney ka

Re: Tumharey naam k aansu

Buhat khoob Maham , thanks for sharing:-)

Re: Tumharey naam k aansu

Thanx Gul