**
tere gum ko bohot ab seh liya hai
key dil ankhoon key rastey beh liya hai
tujhey ana hi hoga ab palat kar
key tere bin bohot ab reh liya hai
jigar ka khoon kyon ankhoon sey tapka
sitam kese yeh mein ney seh liya hai
jo tum ko dukh sunana tha woh mein ney
tumharey baad sab sey keh liya hai.**