Tumhare bhegte palkon say mein nay barha poocha kya dil kay khail mmein jeetnay walay bhi rotay hain kya un ki chashm-e-num bhi auron ko dekha nahin karte Bhala kis ghum mein dil kay tar mein ansoo pirotay hain
Tumharee bhegtee palkon say mein nay barha pocha mizaj-e-husn mein ye yak ba-yak kya inqalab aya sitaara dekhna aur dekh kar afsordaa ho janaa baree taakheer say tum ko sitaron ka hisaab ayaa
tumharee bhegtee palkon say mein nay barha pocha kay tarq-e-ta’luq pay mujh say wahshe yaad atay hain talauq torna aasan tha tu ankh kyun num hai anaa parwar,jafaa paisha bhi kya ansoo bahatay hain
tumharee bhegtee palkon say mein nay barha pocha kay jalnay aur jalanay mein bhala kya lutf aata hai bus ek jhoote anaa kay wastay barbaad ho jana khudee k zu’am mein insaan kitnay dukh uthata hai