tumhare saath kati kuch to hau umr phir bhi
kisi ka yuN to hua kaun umr bhar phir bhi
tumhare zakhm ko hum ne chupa ke rakkha tha
zamaane bhar ko hai iski magar khaber phir bhi
hazaar TukDe karo tum zameen ke logo
miTa na paoge ulfath ki rehguzar phir bhi
mila ke phair li tum ne nazar,magar ye nazar
tumhare yek karam ki hai muntazar phir bhi
ajeeb bekali meiN raat din ye kaTte haiN
khushi hai chaen hai par kuch to hai kasar phir bhi
tamaam umr masaeb ka bojh dho ke shakeel
hai khush naseeb tu saalim hai ye kamar phir bhi