tumhare piyaar main

koi to hoga mera is mehfile aghiyaar main
is liye aata nahi hoon main yahaan bekaar main

main nahi kehta kisi se apne gham ki dastaan
sochta hoon kia milega mujkho ab izhaar main

apne haathoon se jala dala chaman is waaste
khaar he chubne lagey thay ab humain gulzaar main

umer bhar shayed pe karety thay mohabat is liye
haan bhi shamil thi tumare piyaar ke inkaar main

dil jalane par bhi hum roshan na kar paaye wafa
is kadar taarikiyaan theen kuch tumhare piyaar main

na gahani hai musibat zindagi mere liye
aur najaane kia milega maut ke deedaar main

nice

awww…well its really good..:k:

Wah… Its Zabardast Daddu Gi :flower2: :flower1:

Very Nice as usual :slight_smile: