***Tumhare Pair
Kitnay khoobsurat Pair
Youn anjanay main hiltay hain
Ke jese in ke seenay main bhi koi Dil dharakta hai
Machalta hai
Yea apni unglion ka maan rakhtay hain
Kabhi had se nahi bharhtay
Mujhay bhi apnay Pairon ki tarha khud se mila dekho
Sahara main bhi detta hoon
Main had se bhi nahi bharhta
Mujhay bhi apnay porron main kabhi mehsoos kar dekho
Main ayrdhi ki tarha se hoon jo sara bojh sehti hai
Mujhay bhi nakhunon jese atta kar do koi surkhi
Mujhay bhi bakhsh do ayjaz khushbo ki zayarat ka
Ibadat ka, Muhabbat ka
Magar phir sochta hoon main
Meri oqaat hi kya hai
Kahan adna, kahan alla
Mera chehra, tumhare Pair***