*Ta’aruff hochuka lekin abhi pehchaan baaqi hai
Mere ander sisakta cheekhta insaan baaqi hai
Abhi mein jhail sakta hoon muhabbat mein kae sadmay
Abhi yeh jaan zinda hai, dil-e-weeraan baaqi hai
Abhi tanha shajar per fakhtaayain gun’gunaati hain
Tumhare laut aanay ka abhi imkaan baaqi hai
Wafa, chaahat, muhabbat, be-kali, umeed, be-taabi
Abhi tau zindagi ka bahut samaaan baaqi hai
Kisi kamzoor lamhay ko na khatir mein kabhi laana
Tera paagal, tera shaayar, tera nadaan baaqi hai …*
Re: ~~ Tumhare laut aanay ka abhi imkaan baaqi hai ~~
Buhat Khoob Amar Bell Sahib 
Re: ~~ Tumhare laut aanay ka abhi imkaan baaqi hai ~~
Thank you P^Khan
Re: ~~ Tumhare laut aanay ka abhi imkaan baaqi hai ~~
jawab nahi sahib
Re: ~~ Tumhare laut aanay ka abhi imkaan baaqi hai ~~
Shukriya USargam !
rajey
6
Re: ~~ Tumhare laut aanay ka abhi imkaan baaqi hai ~~
khoobsurat
Sheal
7
Re: ~~ Tumhare laut aanay ka abhi imkaan baaqi hai ~~
very nice :k: