Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha
na tha raqeeb to akhir wo nam kis ka tha
Wo qatl kar ke har kisi se puchte hain
ye kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha
Wafa karenge nibhayenge baat manenge
tumhen bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha
Raha na dil main wo be-dard aur dard raha
muqeem kaun hua hai maqam kis ka tha
Na pooch-paach thi kisi ki na aao-bhagat
tumhari bazm main kal ehtamam kis ka tha
Guzar gaya wo zamana kahen to kis se kahen
khayal mere dil ko subah-o-sham kis ka tha
Har ek se kahte hain kya “Daagh” bewafa nikla
ye puche in se koi wo ghulam kis ka tha
By, Daagh Dehlvi
…
Re: Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha…
Ghulam Ali ko ye gana gaate huwe
karte hue dekha hai?
Re: Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha…
Nahi…
Ghulam Ali ny ye gayi hai?
Re: Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha...
ye youtube ka link hai ??? :@:
Re: Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha…
yes… banned youtube ka
Re: Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha…
ohhhkkk bhaiya 

hru bhaiyaaaaaaaaaaaaaaa ?? :d
Re: Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha…
Hakuna, How are you doing?
Re: Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha…
Muqa ap bhool gaye ap ny mujhy aik link dena tha..
Re: Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha...
Muqa ap bhool gaye ap ny mujhy aik link dena tha..
konsa? Sindhi dramon ka?
Re: Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha...
konsa? Sindhi dramon ka?
han jee
Re: Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha…
dhoondta hoon :sid:
Re: Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha…
Thanks 
Diva
15

:k: