Tumhare dar pe aakar so gaya kaun
Zara maloom to ho kho gaya kaun
Lhoo ka rang abke baraf ka tha
Pahadon pe ye laashein bo gaya kaun
Muje zulmaat ne bohot daraya
Sitaron ko le gumm ho gaya kaun
Chanaron se lapakte hain jo shole
Mere chashmon se daman bhigo gaya kaun
Pighal jaon mein moorat baraf ki hoon
Khadi hai dhoop aansoon ro gaya kaun
Parveen Rajh:-