Tumhare bas mein agar ho to bhul jao hamen..

Tumhare shehr ka mausam bada suhana lage..
Main eik shaam chura loon agar bura na lage..

Tumhare bas mein agar ho to bhul jao hamen..
Tumhe bhulane mein shayad hamen zamana lage..

Humare pyaar se jalne lagi hai eik duniya..
Dua karo kissi dushman ki bad-dua na lage..

Jo dub na hai to itne sakoon se dubbo..
Ke aas paas ki lehroon ko bhi pata na lage..

Kuch is adaa se mere saath bewafai kar..
Ke tere baad mujye koi bewafa na lage..

vo phuul jo mere daaman se ho gaye mansuub
Khudaa kare unhen baazaar kii havaa na lage

tum aankh muund ke pi jaao zindagi ‘Qaiser’
ke ek ghont main shaayad ye bad mazaa na lage

Re: Tumhare bas mein agar ho to bhul jao hamen..

Kuch is adaa se mere saath bewafai kar..
Ke tere baad mujye koi bewafa na lage..

aankhon dekhi makhi :eek::eek:

Re: Tumhare bas mein agar ho to bhul jao hamen..

high dose ke baad aisa hi hota hai

Re: Tumhare bas mein agar ho to bhul jao hamen..

yehni k bewafai ki sari hadein torr dy