Tumharay Piyar Ka Sadqa

tumharey piar ka sadqa
yeh kuch gazlain
yeh kuch nazmain
yeh kuch anmol si yadain
yeh kuch be-rabt si batain
jo khul kar keh na paya main
jo sadmay seh na paya main
yeh sab kuch ar wo sab kuch
jo nagufta raha hum main
inhi yadoon ka hisa hain
inhi ka aik qisa hain
yeh kuch nazmain
yeh kuch gazlain
tumharey piyar ka sadqa