TUMHARAY NAAM......

main apna aaj apna kal tumharay naam karta hoon
main apni zindagi ka har pal tumharay naam karta hoon

khizan sardiyan garmi baharain barishain jaaraa
main har mausum ka har har pal tumharay naam karta hoon

sitaray titliyan jugnoo gul-o-bulbul dhanak khushboo
yeh sari husn ki jal thal tumharay naam karta hoon

mera guzra hua kal to meray maazi ka qissa hai
main apna aaj apna kal tumharay naam karta hoon

tumharay bin yeh har ek pal mujhay bay chain rakhta hai
main apna dil jo hai bay kal tumharay naam karta hoon

barasta bheegta mausum hai kamzoori meri lekin
main yeh sawan ghataa aur badal tumharay naam karta hoon

Re: TUMHARAY NAAM......

yeh kya aap ne apni property un ke naam nahi ki

Re: TUMHARAY NAAM......

even i was thinking abt that .....:)

wase its really nice

Re: TUMHARAY NAAM…

Good One :k:

Re: TUMHARAY NAAM…

:k:

Re: TUMHARAY NAAM......

nice sharing!

Re: TUMHARAY NAAM......

itni samjhdaar hokar nahi samjhti app
sari free wali cheezain naam kari hain

Re: TUMHARAY NAAM…

thx everyone

Re: TUMHARAY NAAM......

thx fara jee

Re: TUMHARAY NAAM......

aap bhi bare chalaak hain

Re: TUMHARAY NAAM......

good one!

Re: TUMHARAY NAAM…

barasta bheegta mausum hai kamzoori meri lekin
main yeh sawan ghataa aur badal tumharay naam karta hoon

beautiful… :k:

Re: TUMHARAY NAAM......

nawazish hai appki
warna ap k hotay huay aur kaun chalak hosakta hai

Re: TUMHARAY NAAM…

thx moon ans assweetas

Re: TUMHARAY NAAM......

kyun kya chalak logoon ki kami hai duniya main or app tu waise bhi samajdari se chalaki kerte hain
ek teer se do shikaar

Re: TUMHARAY NAAM......

kia matlab
aik teer say do shikaar