tumharay Khat mein naya aik salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aaKhir woh naam kis ka tha
woh qatl kar kay har kisi say poochatay hain
yeh kaam kis nay kiya hai yeh kaam kis ka tha
wafaa kareinge nibhayeinge baat maanenge
tumhein bhi yaad hai kuch yeh kalam kis ka tha
rahaa na dil mein woh be-dard aur dard raha
muqeem kaun huaa hai maqaam kis ka tha
na poochh-paachh thii kisi ki na aau-bhagat
tumhari bazm mein kal ehatamaam kis ka tha
hamaray Khat kay to purzay kiye parha bhi nahin
sunn jo tum ne baa-dil woh payaam kis ka tha
inhin sifaat say hota hai adami mashhoor
jo lutf aap hi kartay to naam kis ka tha
guzar gaya woh zamana kahein to kis say kahein
Khayaal meray dil ko subah-o-shaam kis ka tha
har aik say kahtey hain keh “Daag” bewafa nikla
yeh poochhay inn say ko_ii woh Gulaam kis ka tha
by " Daag Dehlvi "
suchi se hamara nahi tha ;)...welcome here
[QUOTE]
*Originally posted by NikamiJano: *
suchi se hamara nahi tha ;)...welcome here
[/QUOTE]
is it :(
pata nahi phir kis nay day dia hai ;)
anyway thanks!
Good one !
Kaun aayega yahan koi na aaya hoga,
Mera darwaaza hawaon nay hilaaya hoga !
Dil-e-naadan na dhadk ay dil-e-naadan na dhadak,
Koi khat ley kay padosi kay ghar aaya hoga !
Gul say lipti hui titli ko gira kar dekho,
Aandhiyaan tumnay darakhton ko giraaya hoga !
Kaif pardes mein mat yaad karo apna makaan,
Ab kay baarish nay usay tod giraaya hoga !
very nice:k:welcome here:)
Lamhay
11
Nice one
and thanks dragon for ur suggestion !
see if u can help !
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
Nice one
and thanks dragon for ur suggestion !
see if u can help !
[/QUOTE]
Sure my Pleasure
Lamhay
13
[QUOTE]
*Originally posted by Dragon~King: *
Sure my Pleasure
[/QUOTE]
:)
Nice dagon :k:
pata lage to bata dena…People may like to know ke woh aakhir hai kaun jo dragon ko bhee salam bhejta hai 
heheheheheh Sure yaar Agar Mujhay pata lag gaya … to Zaror Bataon ga 