tumhain zid hai k
iqrar-e-wafa tum nay nahi karna
meri taqdeer main
rang-e-hina tum nay nahi bharna
tumhain manzoor hai shayad
mera ghut ghut k he marna
tumharay faislay par ab
sir-e-tasleem khum hoga
main apnay hont si longa
yonhi bay kaif jee longa
tumharay hijr ki tasveer ko
dil main saja longa
tumhary jabr, apnay sabar
ko main azma longa
magar aik baat main pochon
tumhain apni qasam
tum apnay sir pay rakh k hath yeh kehna
tumharay dil main
mairay naam say hulchul nahi hoti?
meray khat parh k
jazbon main koi toofan nahi uthta?
jawan ratoon main
meri yaad ki shammain nahi jaltin?
tumhari dharkanon main
kia meri sochain nahi paltin?
to phir tum nay
aziyat ki rida kio taan rakhi hai?
yeh dil main thaan rakhi hai
buhat bechain khud rehna
mujhay barbaad sa rakhna
bhulana bhi to uss k saath
kuch kuch yaad sa rakhna
agar iss shoq say tumko
koi taskeen milti hai
meray zakhm e talab ka tazkara
ab kam say kam hoga
TUMHARAY FAISLAY PAY AB
SIR-E-TASLEEM KHUM HOGA