tumharay bina

*mujhay chor kar jaanay waley,
ek safed, bhooray baalon wali
neeli aankhon wali angrezi bandri
k peechay lag chahnay waley,
shurruu main mujhay aisa laga
k main tumharay bina
kaisay zinda reh paaoon gi
zehar kha k mar jaaoon gi.

jab dil us se bhar giya,
tum nay us k sub yaaron ko dekh liya,
to meray paas bhaagay-bhaagay
aanay ki kabhi na sochna.
ro ro k apni shakal na dikhana.
mujhay asli mohabbat ab mil gayi hai.
main ab bahut khush hoon
aur khuda ko shukriya deti hoon
k usnay mujh ko
tumaray jaal se bacha liya.*