suno jana
tumharay baad say hum nay
koi mausum nahi dekha
k jis me phool khiltay hon
dilon main deep jaltay hon
tumharay baad to jana
hamain aisa guman guzray
sabhi kuch haar baithay hain
woh saray khush numa jazbay
dilon me jo dharaktay thay
unhain hum maar baithay hain
tumharay bin suno jana
hamaray din to veeran hain
magar ratain bhi bojhal hain
haseen jaisay bhi hon manzar
woh in aankhon say ojhal hain
tumharay bin yeh barsatain
hamain ab khon rulati hain
yeh thandi chandni ratain
hamain payham jalati hain
tumharay bin kisi say hum
ab hans kar he nahi miltay
buhat hum nay dawa ki hai
zakham phir bhi nahi siltay
dua bass itni kartay hain
tumharay laut anay ki
koi ab rah nikal ayay
gar mumkin nahi aisa
to yeh faryaad kartay lub
hamesha ko he sil jayen
buhat buhat shukrya amal pasandidgi ka
ap k itnay detailed comment nay bht hosla afzayi ki hai
aru aik likhnay walay k lye iss say bari aur koi baat nahi hoti k qari uss k likhay huay ko tafseel say parhay aur apni araa day
thanks