Tumhara Naam

tumhara naam kuch aesay merey honton pay khilta hai….
andheri raat main jesay
achanak chaand badal k kisi koney say bahir jhankta hai
aur sare manzaron main
roshni c phel jati hai
kali jesay
larazti aus k qatrey pahan ker muskurati hai
badalti rut
kisi maanoos c aahat ki daali ley k chalti hai
to khushboo baagh ki deewar say
ro’k nahin rukti
isi khusboo k dhage say
mera har chaak silta hai
tumhare naam ka taara
meri sanson main khilta hai
tumhare khwaab ka rishta
meri neendoin say milta hai
to dil aabaad hota hai
mera her chaak silta hai
tumhare naam ka taara
meri raaton main khilta hai ….!


mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!

lakin naam kis ka hia naam tu likha nahi ap ne mahee jee

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Nikami jee
**khaas jumloin k lia aankhein zabaa’n baandhti hain
sirf hontoin say her ik baat nahi hoti hai **

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif


mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!

nice poetyr mahee

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

thx for sharing

n jano jeeeee sheir mulahiza karain for u

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

kon kahta hay muhabbat ke zubaan hoti hay
yeh haqeeqat to nigahon se bayaan hoti hai

thanks a lot jee.


mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!

assalam o alaikum

very nice it was.

I m new in this section and making my first reply

ajab parda ha ke chilman say lagay bathay hain
saaf chuptay bhee naheen,samnay atay bhee naheen

Scorpion King …

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

anyway .. Nice One Maheee.


I’m Gonna Be The Champ
The Way I Wanna Be
( Muhammad ALI )

[quote]
Originally posted by muhammad khawar:
**assalam o alaikum

very nice it was.

I m new in this section and making my first reply

ajab parda ha ke chilman say lagay bathay hain
saaf chuptay bhee naheen,samnay atay bhee naheen**
[/quote]

thanks for the reply khawar jee. welcome aboard


mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

thanks


mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!

mai bata doon inn logoan ko wo naam kiya hai mahee???
well its simple..wo naam hai…‘Maheen’

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

very nice poem…


—~—Maria—~—
~Kiya haaq wo jeena hai jo apnay hi liyay ho
Khud mit kar kisi aur ko mitnay se bacha lay~

" kehni hai ik baat magar janey di jia"

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

maheen jee aap ka jawab bilkul galat hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

anyway shukria pasand kerney ka.

us k bageer ab to bohat G udaas hai
JALIB chalo kahein say usay dhoond la’ain hum

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!

.. you have good taste .. thanks for the nazam …

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


To see a world in a grain of sand
And heaven in a wild flower
Hold affinity in the palm of your hand
And eternity in an hour

aap ne tu hamara dil hi tor diya..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary2.gif

waisay ‘WO’ hai kaun…koi ata pata bhi tu batain takay usko dhoondnay mai hum bhi aap ki koi madad kar sakain

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif


—~—Maria—~—
~Kiya haaq wo jeena hai jo apnay hi liyay ho
Khud mit kar kisi aur ko mitnay se bacha lay~

thanks a lot m_isabah jee. u r always welcome

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!

sorry maheen jee mera maksad her giz aap ka dil torna nahi tha. main to bus ye keh raha tha k ** WO ** aap nahein

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

or jahan tak us k atey patey ki baat hai ya us ko dhoondney ki baat hai to is ki zaroret nahi. (main yahain 1 baar phir wo sheir likhta hoin)

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

un say milney ka kya sawaal ADAM
wo sada merey pass hotey hain

yani aankhoin say o’jhal hai, dil say nahi

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!

Bohat khoob