Tumhara naam likhta hoon main kaaghaz par
Dekhta hoon, sochta hoon..
Woh kaaghaz phaar deta hoon
Phir unn kaaghaz ke tukron ko
Mutthi mein bheenchta hoon
Phaink deta hoon
Waheen par baith kar larta hoon khud se
Wohi kaaghaz uthaata hoon
Main aankhon se lagaata hoon
Phir apne paas rakhe paani ke pyaale mein
Woh kaaghaz daal deta hoon
Main tum ko sochta hoon
Phir uss paani ko
Taweez-e-mohabbat jaan kar peeta hoon
Aankhein moondh leta hoon…**
Teri chaukhat se sarr uthaaun tau be wafaa kehna
Tere siwa kisi ko dil mein basaaun tau be wafaa kehna
Tujh ko agar meri wafaaon pe shak ho, tau khanjar utha lena
Main shauQ se marr naa jaun tau be-wafaa kehna....