Tumhara mera talluq bus aik lafz ka hai
Lughut ki unt main simta howa faqt aik lafz
Is aik lafz main suchaii hai zamanooN ki
Chalo kay aaj yehi lafz ikhtiyaar ker lain
Tamaam umer pari hai munafiqut kay liye
Is aik lafz ka damun na daaghdaar kerain
Alum shumaar kerain, dard aashkaar kerain
Chalo aaj kuch hisaab ziyaan-e-jaan kerain..