---> Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai

**Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai
tamaam umr yehi aasra hi kaafi hai…

Jahan kahin bhi milo, mil ke muskura dena
khushi ke wastey yeh silsila hi kafi hai…

Mujhe bahaar ke mausam se nahi kuch lena
tumharay pyar ki rangeen fiza hi kaafi hai…

yeh log kaun si manzil ki baat karte hain?
musaafiron ke liye tu raasta hi kaafi hai…**

Re: —> Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai

Wah wah wah Buhat Khub Return Of Prince is really good:lajawab: Intikhab hy.
*** Agar main sahih hon tu arsay draz ky bad Poetry main kuch :k: ky siwa post kia hy:faizy: ***

Re: ---> Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai

Jee Good Khabar! Buhut saalon ke baad post ki hai. Mujhe khushi hui ke aapko pasand aayi hai. Buhut shukriya. :)

Re: ---> Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai

Khush rho :) or shukriya ki kia bat hy yeh tu mera faraz tha;)

Re: —> Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai

Umeed hai aap isi tarah faraz nibhati/nibhate rahenge/rahengi :wink:

Re: ---> Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai

wonderful sharing

Re: ---> Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai

zabardast..

Re: ---> Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai

wow nice

Re: ---> Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai

Bohat khoob janab.................:)

Re: ---> Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai

[QUOTE]
yeh log kaun si manzil ki baat karte hain?
musaafiron ke liye tu raasta hi kaafi hai.....
[/QUOTE]

Bohat Khoob :-)

Re: ---> Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai

veryy nice

Re: ---> Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai

very nice said

Re: ---> Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai

*Jahan kahin bhi milo, mil ke muskura dena
khushi ke wastey yeh silsila hi kafi hai..... *

thnx for this lovely sharing.......!