Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai
tamam umer yehi aasra hi kaafi hai …
Jahan kahin bhi milo, mil ke muskura daina,
khushi ke wastey yeh silsila hi kafi hai ..
Mujhe bahar ke mausam se kuch nahi laina,
tumhare pyar ki rangeen fiza hi kaafi hai ..
yeh loug koun si manzil ki baat karte hain
musafiron ke liye tu raasta hi kaafi hai .