Tumhain zidd hay kay..........

Tumhain zidd hy
k iqrar-e-wafa tum ny nhi karna
meri taqdeer main rung-e-hina
tum ny nhi bharna
tumhain manzoor hy shayad
mera ghutt ghutt ker hi marna

tumharay faisalay per ab
sar tasleem-e-khum ho ga..

main apnay hont si lu ga
yun hi baykaif gee lu ga
tumharay jabr apny sabr ko
main azmaa lu ga

magar ik baat main puchon..?
tumhain apni qasam
tum sar pe rakh ker hath ye kahna

jawan raaton main meri yaad ki
shamaain nhi jalti
kai soch main apni
meri yaadian nhi palti
meray khat parh ker
jazbon main koi tufaan nhi uthta

to phir tum ny azziyat ki ridaa
kiu taan rakhi hay
ye dil main thaan rakhi hay

bohat baychain khud rahna
bohat bardaad sa rakhna
bhulana bhi to us k sath
kuch kuch yaad sa rakhna

agar ic baat sy tum ko
koi taskeen milti hay…

maeray zakhm-e-talab ka tazkara
ab kam say kam ho ga

tumharay faisalay per ab
sar taleem-e-khum ho ga…

Re: Tumhain zidd hay kay…

hmmm..
Buhat achii hai. :hugz:

Re: Tumhain zidd hay kay..........

:D pher koe answer mela ke nehe :p

Re: Tumhain zidd hay kay…

:hugz:
jee sis jee Bohat he achee hai…
tab he tou tumharay liay share ki hai:)

Re: Tumhain zidd hay kay..........

hmm...........
mein nay reply magna chor diya hai ..........choro kya karna hai:(

Re: Tumhain zidd hay kay…

buhat khoob :k:

keep sharing :slight_smile:

Re: Tumhain zidd hay kay…

wo kio :aq:

Re: Tumhain zidd hay kay…

hmm…
it hurts na…jis say bhi kuch expect karo kabhi poora nahin hota na:)

Re: Tumhain zidd hay kay…

acha :crying:

Re: Tumhain zidd hay kay…

aww…maree behan…
chup kar jao…toffee lay lo aur Noise pollution bund karo:D

Re: Tumhain zidd hay kay…

:naraz:

Re: Tumhain zidd hay kay…

hmm…
ab kya hai???
acha kar lo shour jitna karna hai…:slight_smile:

Re: Tumhain zidd hay kay..........

ahh painful ...but nice :)

Re: Tumhain zidd hay kay…

itna kuch to kahdiya aur jawab ka kya karna hai :smilestar:

Re: Tumhain zidd hay kay..........

jawan raaton main meri yaad ki
shamaain nhi jalti
kai soch main apni
meri yaadian nhi palti
meray khat parh ker
jazbon main koi tufaan nhi uthta

Very good Sonia, Its really beautiful Nazam

Re: Tumhain zidd hay kay…

great post sonia jee :k: