Tumhain Yaad Hai Na
Humari Aakhri Mulaqaat Ki Raat
Aankhon Se Barasti Barsaat Ki Raat
Mein Ne Tum Se Kaha Tha
Juda Tum Se Ho Ke
Jee To Loon Gi Lekin
Gar Tumhari Ijazat Ho To
Tumhari Yadon Ka Sahara Chahye Mujh Ko
Tumhain Yaad Hai Na
Mein Ne Tum Se Kaha Tha
Ek Ye Hi Aasra Chahye Mujh Ko
Magar JanaN
Ye Kya Kiya Tum Ne
Apni Yadon Ko Cheen Liye Tum Ne
Mujh Se Merey Jeeney Ka
Aakhri Sahara Cheen Liya Tum Ne
Ab Kiya Karoon Janan
Ke Ab Zinda Reh Nahee Sakti
Mazeed Dard Seh Nahee Sakti
Apney Bardaasht Ki Hadon Ko Choo Rahi Hoon Mein
Zindagi Se Ab Bicharh Rahi Hoon Mein
Apna Wadaa Poora Kar Rahi Hoon Mein
Tumhain Yaad Hai Na!
Wo Aakhri Mulaqat Ki Raat
Ye Hi Kaha Tha Mein Ney
**
ABOUT PAST!
Its easy to say but hard to ...!
[/QUOTE]
I know and I can feel this pain ... but thought to share with you that wakt har zakhm ko bhar diya karta hai... so please forget and try to be happy ... !
tusi waqai hi bhuhat touchy ho lamhay jii by the way aap ko aesa kon sa gham hai jis ka zikar amarbail ne kiya aap ke saath :( well agar aap ko itraaz nah ho tu hum se be kirpaa kar ke share karna :D ok
[QUOTE]
*Originally posted by MANAN: *

Manan Ji Ghum tu zindagi kay saath hi hotay hain Dhokay o fareb o jhoot ki tarhan
Aur amarbail nay zikar kia tu unko maloom hoga unsay hi poch lijye !!
Per Kisi nay kia khoob kaha hai
Bashar Raaz -e-dil keh kar Zaleel o khwaur hota hai ...! :)
I hope u understand !!!
[QUOTE]
*Originally posted by MANAN: *
tusi waqai hi bhuhat touchy ho lamhay jii by the way aap ko aesa kon sa gham hai jis ka zikar amarbail ne kiya aap ke saath :( well agar aap ko itraaz nah ho tu hum se be kirpaa kar ke share karna :D ok
[/QUOTE]
Well... Lamhay ne khud hi itna keh daala ke shayad mere kehne ki gunjaish hi nahee rahi ...