Muhabbat kee tabiyat main ajab takrar ki kho hay
Kay yeh iqrar kay lafzon ko sunnay say naheen thaktee
Bicharnay ki gharee ho ya koi milnay kee saa’at ho
Issay bus ik hi dhun hay
Kaho mujh say muhabbat hay!
Kaho mujh say muhabbat hay!
Kuch aaisee bay sakoni hay vafa ke sarzamenon pay
Kay jo ehl-e-muhabbat ko sada baychain rakhtee hay
Kay jaisay phoolon main khushboo
Kay jaisay hathon main tara
Kay jaisay sham ka tara
Muhabbat karnay valon ki sehr, ratoon main rahati hai
Gumnamio’on kay shakinjon main aashiyan banatay hain ulfat ka
Ya aain visal main bhi hijar kay khadshon main rehti hay
Muhabbat kay musafir zindagi jab kat chuktay hain
Thakan ki kirchiyan chuntay,vafa ke ajrakain pehntay
Samay ki rah-guzar ki aakhri sarhad pay ruktay hain
Tu koi dobtee sanson ke doree thaam kar
Dheeray say kahta hay
Kay ya sach hay na
Hamaree zindagi ek dosray kay nam likhee thee
Dhundhlakay say jo aankhon kay qareeb-o-door phela sa hay
Issi ka nam chahat hay ..
Tumhain mujh say muhabbat thi
Tumhain mujh say muhabbat hay