tumhain kyuN shaa'yeri meiN aaj tak aabad rakha hai

***juda’eenay walay tumsay Umeed-e-wafa kaisii
t’aluQ tuuT jaa’ey jab
abbat Rooth jaye jab
tu phir Rasm-e- Dua kaisi
milan kii il’tejaa kaisi
*bhanwar meiN dolti kashti pe sahil ki tamaNa kya
ukhartay saans hooN tu zindagi ki Aarzoo bhi kya
jo manzil khoo chuki ho uss ki phir say justuju bhi kyuN
magar dil nay tumhaiN kis waastay say yaad rakha hai
tumhain kyuN shaa’yeri meiN aaj tak Aabad rakha hai
abhi tak maiN nay kyuN khud ko buhat barbaad rakha hai
hawa k dosh par kyuN naghma-e- faryaad rakha hai
judaa’ee denay walay aashnaa’ee ki Qasam tum ko
tumhari be-wafai kaj adaa’ee ki Qasam tum ko
mujhey itnaa bataa denaa
wafa ki chaa’hatoun ki mash’alaiN kaisay bhujaatay haiN
nishaa’N kaisay mitaatay haiN
bhulana ho jinhaiN unko bhala kaisay bhulatay haiN…

Re: tumhain kyuN shaa'yeri meiN aaj tak aabad rakha hai

wafa ki chaa'hatoun ki mash'alaiN kaisay bhujaatay haiNnishaa'N kaisay mitaatay haiNbhulana ho jinhaiN unko bhala kaisay bhulatay haiN very nice

thanks rida :)

Re: tumhain kyuN shaa'yeri meiN aaj tak aabad rakha hai

bhool jaane wale kyun yaad aaya kerte hein
yaad aane wale kyun bhool jaya kerte hein

wah bohat khoob :k:

Re: tumhain kyuN shaa'yeri meiN aaj tak aabad rakha hai

okhay okhay sawaal, jawab kia daitay :)